Monday, February 18, 2008

Teri Baatein hi sunane aaye Dost bhi dil hi dukhane aaye

Teri Baatein hi sunane aaye
Dost bhi dil hi dukhane aaye

Phool khilte hain to hum sochte hain
Tere aane ke zamaane aaye

Aisi kuch chup si lagi hai jaise
Hum tujhe haal sunane aaye

Ishq tanha hai sar-e-manzil-e-Gham
Kaun ye bojh uthane aaye

Ajanbi dost hamen dekh ke
Hum kuchh tujhe yaad dilane aaye

Dil Dharakta hai safar ke hangaam
kaash phir ko’ii bulane aaye

Ab to rone se bhi dil dukhta hai
Shayad ab hosh Thikane aaye

Kya kahin phir ko’ii basti ujdi
Log kyun jashn manane aaye

So rahe ho maut ke pehlu mein “Faraz”
Neend kis waqt na jaane aaye..!!

!!!Ahmed Faraz!!!!